zabt se kaam le aahon mein asar hone tak shama har rang mein jalti hai sahar hone tak wo nasheman bhi to sayyaad mera chhut gaya hum bachae the jise nazr-e-sharar hone tak tum na aae to shab-e-hijr sitare chun kar hum ne palkon mein sajae the sahar hone tak silsila girya-e-paiham ka na chhute ya-rab us ke daman ka mere ashkon se tar hone tak apna maslak hai yahi kar-gah-e-razm-e-hayat kashmakash jari rahe marka sar hone tak muntazir aap rahen hum to chale ai 'hamdam' nakhl-e-gulzar-e-tamanna mein samar hone tak