zaKHm sine pe laga aankh se aansu nikle

zakhm sine pe laga aankh se aansu nikle
gham ki aahat se kai dard ke aahu nikle

halqa-e-reg-e-rawan dasht ke dariya ka bhanwar
wahshat-e-dil ke safine mein agar tu nikle

bad-gumani ki nigahon se jo dekha hai tujhe
teri har baat mein sau tarah ke pahlu nikle

mahak utthe ye bayaban bhi gulistan ki tarah
qaid-e-gulzar se aazad jo khushbu nikle

is kadi dhup mein tha kis ko safar ka yara
har qadam saya-kunan kakul-o-gesu nikle

sehr gul-kari-e-ehsas ka bais hain 'nadim'
dil mein jo tir gham-e-jaan ke taraazu nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close