zamane mein wo mah-laqa ek hai

zamane mein wo mah-laqa ek hai
hazaron mein wo dilruba ek hai

khudawand-e-arz-o-sama ek hai
qasam hai khuda ki khuda ek hai

barabar hai apna wajud o adam
hamari baqa aur fana ek hai

adam ibtida hai adam intiha
meri ibtida intiha ek hai

na honge ye hadis rahega qadim
gharaz sab hain fani baqa ek hai

zara ghaur se miraat-e-dil ko dekh
ye aaina-e-haq-numa ek hai

jinhen kufr o ilhad kahta hai shaikh
faqat pher hai rasta ek hai

jahan mein hain ghafil bahut se tariq
magar rah-e-sidq-o-safa ek hai

maal-e-sukhan zikr hai yar ka
kahun sau tarah muddaa ek hai

mahal faqr ka hai ajaib maqam
yahan masnad o boriya ek hai

kahan us ke aage kisi ka farogh
wo khurshid-ru mah-laqa ek hai

fazilat mili ek ko ek par
gharaz ek se yan siwa ek hai

bachega na kawish se mizhgan ke dil
ki nashtar bahut aabla ek hai

jafakar dam-baz kazib muhil
main waqif hun wo bewafa ek hai

hai amboh-e-ushshaq isa ke ghar
mariz itne darushshifa ek hai

nahin bachta donon ka mara hua
teri zulf aur azhdaha ek hai

na aana tu us zulf ke pech mein
are dil wo kali bala ek hai

hazaron shahid-e-mohabbat hain dafn
gali us ki aur karbala ek hai

har ek dard ka hai mudawa wo lab
maraz saikdon hain dawa ek hai

dui ko na de dil mein ghafil jagah
zaban ek hai aur khuda ek hai

kahoge jo kuchh to sunoge bhi 'rind'
hansi mein to shah o gada ek hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close