zamin aur aasman hone se pahle

zamin aur aasman hone se pahle
yahan kya tha jahan hone se pahle

yahan hun main wahan hone se pahle
kahan tha main yahan hone se pahle

tumhaari be-rukhi ka lutf lenge
tumhaare mehrban hone se pahle

amir-e-karwan banne ki zid hai
sharik-e-karwan hone se pahle

parindon par na tano us ko logo
ye tahni hai kaman hone se pahle

chhupi thi duriyan nazdikiyon mein
hamare darmiyan hone se pahle

namaz-e-ishq padhna hai zaruri
chale aao azan hone se pahle

sadaen koi to sun le hamari
hamare be-zaban hone se pahle

main qatra kah ke us ko chhedta tha
samundar ko jawan hone se pahle

chhupe the zabt-e-gham ki wadiyon mein
mere aansu ayan hone se pahle

chhupaen kis tarah se raaz apne
kisi ke raazdan hone se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close