zamin jaise ki aatish-fishan ko sath liye

zamin jaise ki aatish-fishan ko sath liye
yun ji raha hun main dard-e-nihan ko sath liye

hua shikar siyasat ka ab ke mausam bhi
bahaar aai hai lekin khizan ko sath liye

ruko to yun ki thahar jae gardish-e-dauran
chalo to aise ki sare jahan ko sath liye

nafas nafas hain ujale hazar karb liye
har ek raat hai ek dastan ko sath liye

kise zamin ke masail ki fikr ho 'khalid'
har ek nazar hai yahan aasman ko sath liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close