zara si der ko aae the KHwab aankhon mein

zara si der ko aae the khwab aankhon mein
phir us ke baad musalsal azab aankhon mein

wo jis ke nam ki nisbat se raushni tha wajud
khatak raha hai wahi aaftab aankhon mein

jinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the hum
wo aaine bhi hue be-hijab aankhon mein

ajab tarah ka hai mausam ki khak udti hai
wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein

mere ghazal teri wahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztirab aankhon mein

na jaane kaisi qayamat ka pesh-khema hai
ye uljhanen teri be-intisab aankhon mein

jawaz kya hai mere kam-sukhan bata to sahi
ba-nam-e-khush-nigahi har jawab aankhon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close