zara si der tabiat bahaal rahne de

zara si der tabiat bahaal rahne de
main yun hi khush hun mujhe pur-malal rahne de

khabar nahin ki ghalat kya hai aur kya hai durust
dila ye ishq hai to qil-o-qal rahne de

yahan pe harakat-e-makus ka hai dakhl bada
isi liye mujhe waqf-e-sawal rahne de

kise hai zarf-e-tamanna ki wusaton ki khabar
main hijr mang rahi hun visal rahne de

kisi nashat ke lamhe ko kab hai likhna mujhe
tu aish-e-hijr se mujh ko nidhaal rahne de

na kar wazahat-e-tamsil-e-raqs-e-kar-e-junun
mujhe samajhna hai to be-misal rahne de

tu mere ishq ke kuze ko tod de lekin
bas aisa kar ki mere khadd-o-khal rahne de

tu ek payaade ko shah-mat dena chahta hai
main haar man gai apni chaal rahne de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close