zauq-e-suKHan ko ab to tere aag lagana achchha hai

zauq-e-sukhan ko ab to tere aag lagana achchha hai
muflis ghar ki haalat hai aur sher sunana achchha hai

meri sachchi chahat dekhi kah baitha wo mahfil mein
mere sab diwanon mein se ye diwana achchha hai

tir-e-nazar se aisa mare dil ka panchhi tab na le
duniya ghar ke sayyaadon se us ka nishana achchha hai

shaikh to masjid mein jata hai andar se dil kala hai
sachche aabid jahan khade hun wo but-khana achchha hai

aisi chaal kahan duje ki kyun tu aisa kahta hai
waise tu ne parde mein mujh ko pahchana achchha hai

auron ko talqin kare hai lekin 'sarwar' naseh ka
mai-khane mein chupke chupke aana-jaana achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close