zindagi-e-be-maza ke naz utha sakta hai kaun bhulne wale bhala tujh ko bhula sakta hai kaun barmala rudad-e-gham un ko suna sakta hai kaun apni rah-e-shauq mein kante bichha sakta hai kaun us nazar ke samne nazren utha sakta hai kaun aasman se in zaminon ko mila sakta hai kaun zahiri tark-e-talluq par hai duniya khush to ho un se jo kuchh rabt-e-baatin hai mita sakta hai kaun qalb raushan hausle mohkam irade paedar rahrawan-e-ishq ko mashal dikha sakta hai kaun zarra zarra se numayan jalwa-ha-e-husn-e-dost jab ye aalam ho to phir daman bacha sakta hai kaun rah ki dushwariyan ab un ko samjhana fuzul dubne wale ko ai 'afsun' bacha sakta hai kaun