zindagi ko ek musalsal imtihan kahte rahe

zindagi ko ek musalsal imtihan kahte rahe
laghzish-e-pa ko hi manzil ka nishan kahte rahe

maslahat thi ya ki thi wo ishq ki majburiyan
us but-e-na-mehrban ko mehrban kahte rahe

chupke chupke kah gai jo dastan ko dastan
us nigah-e-shauq ko hum be-zaban kahte rahe

ek tabassum ek nigah aur ek qatra ashk ka
bas inhin par kahne wale dastan kahte rahe

zard patte khushk kaliyan phul murjhae hue
ye hain aks-e-qalb-e-viran hum khizan kahte rahe

apne hi zauq-e-nazar ne bakhshi un ko dilbari
warna kya hai jis ko hum husn-e-butan kahte rahe

gosha-e-dil mein wo mere sab simat kar rah gaya
gham ka ek tufan jise ahl-e-jahan kahte rahe

jalwa-gar rag rag mein hai aur dida-o-dil mein nihan
hum jise khalwat-nashin-e-la-makan kahte rahe

pyar ke lamhe jo un ki bazm mein guzre 'habib'
hum hayat-e-khizr par un ko garan kahte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close