zindagi rain-basere ke siwa kuchh bhi nahin

zindagi rain-basere ke siwa kuchh bhi nahin
ye nafas umr ke phere ke siwa kuchh bhi nahin

jise nadan ki boli mein sadi kahte hain
wo ghadi sham sawere ke siwa kuchh bhi nahin

dil kabhi shahr-e-sada-rang hua karta tha
ab to ujde hue dere ke siwa kuchh bhi nahin

hath mein bin hai kanon ki lawon mein baale
ye riya-kar sapere ke siwa kuchh bhi nahin

sans ke lahriye jhonkon se phata jata hai
jism kaghaz ke pharere ke siwa kuchh bhi nahin

aaj insan ka chehra to hai suraj ki tarah
ruh mein ghor andhere ke siwa kuchh bhi nahin

waqt hi se hai sharaf dast-e-dua ko hasil
bandagi sanjh-sawere ke siwa kuchh bhi nahin

faqr makhdum hai laj-pal hai lakh-data hai
taj be-rahm lutere ke siwa kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close