zindagi tujh ko bhi aur tera tamasha dekhun apni masum si aankhon se main kya kya dekhun kya siwa is ke bhala aur nazara dekhun raat ki shakh pe us chand ko baitha dekhun raqs karta hua guzra hai abhi hijr ka dukh dhul chhat jae to aage ka bhi rasta dekhun ek wo din tha ki ek shakhs tha duniya meri ek ye din hai ki har shakhs mein duniya dekhun meri niyyat to bahut bar parakh li us ne main bhi us shakhs ka is bar irada dekhun waqt ke sath to khud waqt badal jata hai so hi khwahish hai ki main khud ko badalta dekhun aur tu bol pade palken to jhapkaya karo sochta hun teri taswir ko itna dekhun