zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye

zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye
dil mein hangama nigahon mein tamasha chahiye

aansuon mein bhi tera jalwa huwaida chahiye
gham ke tufanon mein sirf itna sahaara chahiye

sham-e-gham di hai to ek taban tasawwur de mujhe
main andhera kya karun mujh ko ujala chahiye

meri hasti se barasne lag gai hain bijliyan
ab tere jalwon ke parde par bhi parda chahiye

be-niyazi aaj se karte hain hum bhi ikhtiyar
un ke harbe ko unhin par aazmana chahiye

sath sath is ko liye phirti hai kyun teri talash
dasht ki tanhai mein diwana tanha chahiye

dil par is tartib se ho barish-e-lutf-o-karam
sarkhushi ka naqsh gahra gham ka halqa chahiye

jazb ho kar rah gai hain aashiyan mein bijliyan
ab falak ko us ke hi shoalon se phunka chahiye

mast ho sakta hai tu 'makhmur' lekin is tarah
aankh mein saghar lab-e-rangin mein sahba chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close