jawani ki andheri raat hai zulmat ka tufan hai meri rahon se nur-e-mah-o-anjum tak gurezan hai khuda soya hua hai ahrman mahshar-ba-daman hai magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun gham o hirman ki yurish hai masaib ki ghataen hain junun ki fitna-khezi husn ki khunin adaen hain badi pur-zor aandhi hai badi kafir balaen hain magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun faza mein maut ke tarik sae thartharaate hain hawa ke sard jhonke qalb par khanjar chalate hain guzishta ishraton ke khwab aaina dikhate hain magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun zamin chin-bar-jabin hai aasman takhrib par mail rafiqan-e-safar mein koi bismil hai koi ghael taaqub mein lutere hain chatanen rah mein hael magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun ufuq par zindagi ke lashkar-e-zulmat ka dera hai hawadis ke qayamat-khez tufanon ne ghera hai jahan tak dekh sakta hun andhera hi andhera hai magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun charagh-e-dair fanus-e-haram qindil-e-rahbani ye sab hain muddaton se be-niyaz-e-nur-e-irfani na naqus-e-barhaman hai na aahang-e-huda-khwani magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun talatum-khez dariya aag ke maidan hael hain garajti aandhiyan biphre hue tufan hael hain tabahi ke farishte jabr ke shaitan hael hain magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun faza mein shoala-afshan dew-e-istibdad ka khanjar siyasat ki sananen ahl-e-zar ke khun-chakan tewar fareb-e-be-khudi dete hue billor ke saghar magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun badi par barish-e-lutf-o-karam neki pe taziren jawani ke hasin khwabon ki haibatnak tabiren nukili tez sanginen hain khun-asham shamshiren magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun hukumat ke mazahir jang ke pur-haul naqshe hain kudalon ke muqabil top banduqen hain neze hain salasil taziyane bediyan phansi ke takhte hain magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun ufuq par jang ka khunin sitara jagmagata hai har ek jhonka hawa ka maut ka paigham lata hai ghata ki ghan-garaj se qalb-e-giti kanp jata hai magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun fana ke aahani wahshat-asar qadmon ki aahat hai dhuwen ki badliyan hain goliyon ki sansanahat hai ajal ke qahqahe hain zalzalon ki gadgadahat hai magar main apni manzil ki taraf badhta hi jata hun
This is a great ghazal shayari hindi font. True lovers of joke shayari hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this teri adayein shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!