lambe waqt se soch raha hun jaane kyun aisa hun main milne se ghabraata hun main jhut nahin kah pata hun us ke shikwe us ki shikayat jhagde se dar jata hun idhar-udhar ki baaten mujh ko zara na khush kar pati hain jaane kyun aisa hun main dost nahin ban pate mere rishte nahin sambhalte hain beja mohabbat beja takalluf donon ochhe lagte hain auron ki kamiyon ko bilkul achchha nahin kah pata hun jaane kyun aisa hun main achchhe bhale kaamon mein aksar der bahut kar deta hun ammi se baaten karni hun beti ke school ho jaana koi naya nowel padhna ho koi kahani likhni ho sab ko talta rahta hun jaane kyun aisa hun main bhid bhare shahron se mujh ko wahshat si ho jati hai ganw jangal sunsan jaghen aksar khush aa jati hain koi alhad chehra dekhun man ko wo bha jata hai jaane kyun aisa hun main pedon ke pairahan dekhun phulon ki khushbu ko sunghun rang-birangi titliyan pakdun halki halki bunden bhi thandi naram hawaen jab jab chupke se chhu jati hain ya koyal ki boli sun lun man byakul ho jata hai jaane kyun aisa hun main nat banjaran sanyasi aur khel-tamashe wale log khandar virana jalti dhup phuli sarson dhan ke khet lal patang aur pili maina indr-dhanush aur nadi ki dhaar aate hain jab khwab mein mere diwana ho jata hun jaane kyun aisa hun main bahut mujhe achchha kahte hain bura bhi koi kahta hai samne meri madh-sarai pichhe gali deta hai hamdardi hai koi dikhata koi sazish karta hai phir bhi chup chup sa rahta hun jaise bahut anjaan hun main jaane kyun aisa hun main thodi si aazadi mujh ko thoda bahut waqt ka ziyan kabhi kabhaar ki achchhi baaten kisi kisi ka sachcha pyar chhoti-moti koi shararat khilkhila kar hansna bhi ye sab khush kar jate hain jab to lagta hai ki zinda hun jaane kyun aisa hun main