ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

By sudarshan-fakirJanuary 27, 2021
ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
bhale chhin lo mujh se meri jawani
magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani


mohalle ki sab se purani nishani
wo budhiya jise bachche kahte the nani
wo nani ki baaton mein pariyon ka dera
wo chehre ki jhurriyon mein sadiyon ka phera


bhulae nahin bhul sakta hai koi
wo chhoti si raaten wo lambi kahani
khadi dhup mein apne ghar se nikalna
wo chidiyan wo bulbul wo titli pakadna


wo gudiya ki shadi mein ladna jhagadna
wo jhulon se girna wo gir ke sambhalna
wo pital ke chhallon ke pyare se tohfe
wo tuti hui chudiyon ki nishani


kabhi ret ke unche tilon pe jaana
gharaunde banana bana ke mitana
wo masum chahat ki taswir apni
wo khwabon-khayalon ki jagir apni


na duniya ka gham tha na rishton ka bandhan
badi khub-surat thi wo zindagani
37543 viewsgeetEnglish