aa fasl-e-gul hai gharq-e-tamanna tere liye duba hua hai rang mein sahra tere liye sahil pe sarw-e-naz ko de zahmat-e-khiram bal kha raha hai khak pe dariya tere liye ifa-e-ahd kar ki hai muddat se be-qarar ruh-e-wafa-e-wada-e-farda tere liye shanon pe ab to kakul-e-shab-rang khol de bikhri hui hai zulf-e-tamanna tere liye uth chashm-e-jawedana-e-saghar-farosh uth machli hui hai larzish-e-sahba tere liye ai aaftab-e-jalwa-e-jaanan buland ho khoya hua hai matla-e-duniya tere liye mauj-e-shamim-e-sumbul-o-raihan ke darmiyan wa hai musahibat ka daricha tere liye aa aur dad de ki bain chahsm-e-haq-nigar khae hue hun zist ka dhoka tere liye sabze ka farsh abr ka khema gulon ka itr gulshan mein ehtimam hai kya kya tere liye tughyan-e-gul shabab pe bulbul kharosh mein ek hashr sa hai bagh mein barpa tere liye 'josh' aur nang-e-khidmat-e-sultan o pas-e-hosh ye bhi kiye hue hai gawara tere liye