aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya ai falak kya kya hamare dil mein arman rah gaya baghban hai chaar din ki bagh-e-alam mein bahaar phul sab murjha gae khali bayaban rah gaya itna ehsan aur kar lillah ai dast-e-junun baqi gardan mein faqat tar-e-gareban rah gaya yaad aai jab tumhaare rup raushan ki chamak main sarasar surat-e-aina hairan rah gaya le chale do phul bhi is bagh-e-alam se na hum waqt-e-rahlat haif hai khali hi daman rah gaya mar gae hum par na aae tum khabar ko ai sanam hausla ab dil ka dil hi mein meri jaan rah gaya na-tawani ne dikhaya zor apna ai 'rasa' surat-e-naqsh-e-qadam main bas numayan rah gaya