aabla-pai se virana mahak jata hai kaun phulon se mera rasta dhak jata hai maslahat kahti hai wo aae to kyun aae yahan dil ka ye haal har aahat pe dhadak jata hai kya sar-e-sham na lautunga nasheman ki taraf kya andhera ho to jugnu bhi bhatak jata hai ek diwana bhatakta hai bagula ban kar ek aahu kisi wadi mein thithak jata hai koi aawaz kahin gunj ke rah jati hai koi aansu kisi aariz pe dhalak jata hai qafila umr ka paiham safar-amada sahi shajar-e-saya-fagan dekh ke thak jata hai 'shaz' is koshish-e-tamkin pe bahut naz na kar ye charagh-e-tah-e-daman bhi bhadak jata hai