aable honge wo jhaT phuT ke bahne wale

aable honge wo jhat phut ke bahne wale
hum shajar jaise hain har chot ko sahne wale

kuk koyal ki na chidiyon ki chahak sunte hain
kitne bad-bakht hain ye shahr mein rahne wale

soch kar phenkna ek duje pe patthar yaro
hum sabhi kanch ke mahlon mein hain rahne wale

sun ke is kan se us kan ke bahar kar do
kuchh buri baat agar kahte hain kahne wale

arsh par kab tak udenge ye zamin ke panchhi
ek na ek roz to hain farsh pe dhahne wale

dur se aa ke to sab dost hain aksar milte
muddaton dikhte nahin pas mein rahne wale

she'r kahne ka tera dhang nirala hai 'sada'
warna sha'ir hain bahut bahr mein kahne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close