aae hum shahr-e-ghazal mein to is aaghaz ke sath muddaton raqs kiya hafiz-e-shiraaz ke sath awwal-e-ishq hai aur ham-safari ki lazzat aur aahista qadam aur zara naz ke sath awwal awwal to dhanak ban ke uda wo tair aur phir rang badalte gae parwaz ke sath ek viran dariche pe khizan ki barish koi taswir banati rahi aawaz ke sath main wo sarshaar ki tha nashsha-e-yak-khwab bahut is ne tabir bhi di khwab ke aaghaz ke sath hai koi waqif-e-asrar sar-e-mai-khana kya ye mina se surahi ne kaha raaz ke sath hum ne hi dil se ham-ahang gulu ko rakkha log lai apni badalte rahe har saz ke sath