aag ke safhe pe naqsh-e-ma-o-man rah jaega rakh mein sachchai ka zinda badan rah jaega harf ki barish thame to dhund se mani ugen likhne wala aap se guzrega fan rah jaega khwahishon ka meinh nangi aankh se jab bah chuka chikhta chinghadta pichhe badan rah jaega yun khala-bazon pe barsenge shahab-e-saqib ab jism jal jaenge baqi pairahan rah jaega jand par phir se kisi ghabru ka tarkash rah gaya hashr ka maidan ban ke ab ye ban rah jaega aag ki diwar phand aae to har manzil hai sahl sar ki manzil se kahin pichhe kafan rah jaega