aah-o-nala dard-o-gham shor-e-fughan hai aaj bhi yani har bulbul asir-e-baghban hai aaj bhi hae tum us ko samajhte ho gulistan ka harif bijliyon ki zad mein jis ka aashiyan hai aaj bhi naqsh-e-azadi jabinon se numayan hai magar daman-e-dil par ghulami ka nishan hai aaj bhi manzil-e-maqsud par pahunche hain sab ke qafile sirf meri sai-e-paiham raegan hai aaj bhi us ke afsane pe koi tabsira be-sud hai shadman ho kar bhi jo na-shadman hai aaj bhi tu abhi apni haqiqat se nahin hai aashna tere qabze mein inan-e-do-jahan hai aaj bhi main azal hi se samajhta hun tujhe apna 'aziz' ye teri fitrat ki tu daman-kashan hai aaj bhi