aaina dida-e-hairan nazar aata hai mujhe yani zarra bhi bayaban nazar aata hai mujhe apni hasti ka ye unwan nazar aata hai mujhe jaise ek khwab-e-pareshan nazar aata hai mujhe dasht-e-wahshat ki farawani-e-wahshat tauba ab to daman bhi gareban nazar aata hai mujhe phir qadam uthte hain rah rah ke bayaban ki taraf phir junun silsila-jumban nazar aata hai mujhe phir badhi jati hai har zakhm-e-jigar ki shorish phir meri zist ka saman nazar aata hai mujhe aaj saqi ne pilai hai mujhe wo sahba jis ke har ghunt mein iman nazar aata hai mujhe is qadar ishrat-e-hasti ne kiya girwida har nafas shauq-badaman nazar aata hai mujhe sai-e-nakaam pe be-sakhta hans deta hun jab koi talib-e-arman nazar aata hai mujhe mil gai mujh ko 'hasan' zauq-e-nazar si daulat ab to har phul gulistan nazar aata hai mujhe