aaine mein ghurne wala hai kaun aur us ke samne wala hai kaun har qadam karta hai jo meri nafi mere andar bolne wala hai kaun main agar hun aasman-dar-asman ye zamin par rengne wala hai kaun kis ke pichhe daudta rahta hun main aage aage bhagne wala hai kaun main hun aatish-dan se chipka hua barf-o-baran nachne wala hai kaun ain mere dhyan par karta hai war mujh ko mujh se chhinne wala hai kaun kaun hai 'betab' aakhir gum-shuda aur us ko dhundne wala hai kaun