aaine par jami hui hairat ko dekhna kya bar bar ek hi surat ko dekhna hasil ye hai ki ek hi hai sifr ka hisab manafi ko dekhna kabhi musbat ko dekhna ai waqt tu kahin bhi kisi ka hua hai kya kya tujh ko dekhna teri saat ko dekhna danishwaran-e-waqt hon jab mahw-e-guftugu chup rah ke darmiyan meri wahshat ko dekhna pahle to kaam dekhna mera wara-e-waqt phir kaam mein dabi hui fursat ko dekhna