aaj gulshan ki faza pur-khar hai tere baghair sans lena bhi mujhe dushwar hai tere baghair mai-kadon mein zindagi ka raqs jari hai to ho mujh ko mai-noshi se lekin aar hai tere baghair chand taron ka tabassum bhi mujhe hai nagawar sach to ye hai zindagi be-kar hai tere baghair ek tere hone se rahta tha mere dil ko qarar ab magar ranj-o-mehan se pyar hai tere baghair kha raha hun har qadam par thokaren sham-o-sahar zindagi ki rah na-hamwar hai tere baghair mujh ko dam bhar bhi sukun hasil nahin hota kahin sach to ye hai zindagi dushwar hai tere baghair aa meri ujdi hui duniya ko phir aabaad kar aa ki meri zindagi be-kar hai tere baghair