aaj kya dekha khalaon ke sunahre khwab mein regzaron ke siwa kuchh bhi nahin mahtab mein jab se pahna hai nae mausam ne zakhmon ka libas phul se khilne lage hain dida-e-khun-nab mein nisf shab ko nind mein chalta hua paikar koi naqsh-e-pa kyun chhod jata hai dayar-e-khwab mein wo to khud apne tajassus mein bhatak kar rah gae tazkira tha jin ki azmat ka bahut ahbab mein chhedta hai saz-e-shab ko yun samundar ka sukut dub jati hai faza sangit ke sailab mein