aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai sari duniya mere daman mein simat aai hai husn masruf-e-tajalli-o-khud-arai hai wo tamasha hi nahin khud bhi tamashai hai aap se pahle kahan gham se shanasai thi mil gae aap to har gham se shanasai hai is tarah dekhna jaise mujhe dekha hi nahin ye ada aap ki khud mazhar-e-yaktai hai chand kaliyan hi nahin sara chaman apna hai kaun tokega hamein kis ki qaza aai hai jis mein dahke hue shoale ki si tasir na ho wo 'ziya' sher nahin qafiya-paimai hai