aaKHiri gaDi guzarne ki sada bhi aa gai

aakhiri gadi guzarne ki sada bhi aa gai
so raho be-khwab aankho! raat aadhi aa gai

zindagi se sikh lin hum ne bhi duniya-dariyan
rafta rafta tum mein bhi mauqa-parasti aa gai

sada-lauhi den jo qasbe ki thi rukhsat hui
shahr aana tha ki is mein hoshiyari aa gai

hum mile the jaane kya aafat-zada ruhen liye
guftugu auron ki thi aapas mein talkhi aa gai

apne hi ganw ki sarhad par pahunch kar aaj hum
puchhte hain ham-safar! ye kaun basti aa gai

ab na zauq-e-rah-nawardi hai na lutf-e-mandgi
aisa lagta hai ki manzil par sawari aa gai

tark kyun karte nahin ho karobar-e-arzu
'khanqahi' ab to baalon mein safedi aa gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close