'alam' jiwan khel-tamasha danai nadani hai tab tak zinda rahte hain hum jab tak ek hairani hai aag hawa aur mitti pani mil kar kaise rahte hain dekh ke khud ko hairan hun main jaise khwab kahani hai aawazon ka jangal bhi hai sannaton ka sahra bhi ek taraf aabaadi mujh mein ek taraf virani hai is manzar ko aakhir kyun main pahron takta rahta hun upar sakit chattanen hain tah mein bahta pani hai mere bachcho is khitte mein pyar ki ganga bahti thi dekho is taswir ko dekho ye taswir purani hai 'alam' mujh ko bimari hai nind mein chalte rahne ki raaton mein bhi kab rukta hai mujh mein jo sailani hai