aalam mein husn tera mashhur jaante hain arz o sama ka us ko hum nur jaante hain har-chand do jahan se ab hum guzar gae hain tis par bhi dil ke ghar ko hum dur jaante hain jis mein teri raza ho wo hi qubul karna apna to hum yahi kuchh maqdur jaante hain sau rang jalwagar hain garche butan-e-alam hum ek tujhi ko apna manzur jaante hain labrez-e-mai hain garche saghar ki tarah har dam tis par bhi aap ko hum makhmur jaante hain kuchh aur aarzu ki hargiz nahin samai az bas tujhi ko dil mein mamur jaante hain 'iman' jis ke dil mein hai yaad us ki har dam hum to usi ki khatir masrur jaante hain