aamad-e-KHat se hua hai sard jo bazar-e-dost

aamad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-sham-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost

ai dil-e-na-aqibat-andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost

khana-viran-sazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost

ishq mein bedad-e-rashk-e-ghair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun aakhir garche tha bimar-e-dost

chashm-e-ma raushan ki us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara saghar-e-sarshaar-e-dost

ghair yun karta hai meri pursish us ke hijr mein
be-takalluf dost ho jaise koi gham-khwar-e-dost

taki main jaanun ki hai us ki rasai wan talak
mujh ko deta hai payam-e-wada-e-didar-e-dost

jab ki main karta hun apna shikwa-e-zof-e-dimagh
sar kare hai wo hadis-e-zulf-e-ambar-bar-e-dost

chupke chupke mujh ko rote dekh pata hai agar
hans ke karta hai bayan-e-shokhi-e-guftar-e-dost

mehrbani-ha-e-dushman ki shikayat kijiye
ta bayan kije sipas-e-lazzat-e-azar-e-dost

ye ghazal apni mujhe ji se pasand aati hai aap
hai radif-e-sher mein 'ghaalib' zi-bas takrar-e-dost

chashm-e-band-e-khalq juz timsal-e-khud-bini nahin
aaina hai qalib-e-khisht-e-dar-o-diwar-e-dost

barq-e-khirman-zar gauhar hai nigah-e-tez yan
ashk ho jate hain khushk az-garmi-e-raftar-e-dost

hai sawa neze pe us ke qamat-e-nau-khez se
aaftab-e-subh-e-mahshar hai gul-e-dastar-e-dost

ai adu-e-maslahat chand ba-zabt afsurda rah
kardani hai jama tab-e-shokhi-e-didar-e-dost

laghzishat-e-mastana o josh-e-tamasha hai 'asad'
aatish-e-mai se bahaar-e-garmi-e-bazar-e-dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close