aana usi ka bazm se jaana usi ka hai kis ko pata nahin ki zamana usi ka hai ai matla-e-malal hamare liye bhi kuchh taron bhari ye raat khazana usi ka hai is ghar mein koi chiz kisi aur ki nahin ye phul ye charagh fasana usi ka hai ek ahd kar liya tha kabhi bhul-chuk mein sanson ka ye wabaal bahana usi ka hai ab is gali ke mod se aage na jaenge kahte hain aas-pas thikana usi ka hai