aankhen khulin to khwab ki tabir chhin gai raqsan jo aaine mein thi taswir chhin gai qadghan hai zehn-o-fikr pe kya shahr-yar ki danishwaron ki hurmat-e-tahrir chhin gai har chand naz apni balaghat pe tha unhen waqt-e-khata pa jurat-e-taqrir chhin gai ab dastan-e-gham mein tasalsul nahin raha lafzon ke tar-o-pud ki zanjir chhin gai bikne lage hain ahl-e-hunar jab se dahr mein dast-e-hunar se azmat-e-tamir chhin gai yarqan-zada hai gulsitan ab ki bahaar mein phulon ki aab-o-tab ki tanwir chhin gai abr-e-karam ki kaise tawaqqo karen 'jamil' harf-e-dua ki azmat-e-tasir chhin gai