aankhon ka hai qusur agar wo ayan nahin

aankhon ka hai qusur agar wo ayan nahin
warna to kis makan mein makin la-makan nahin

har shai ka kuchh na kuchh yahan maqsad zarur hai
is kaenat mein kahin kuchh raegan nahin

had hai agar to sang-tarashon ke fan ki hai
patthar mein warna suraten kya kya nihan nahin

hadd-e-nazar hai jis pe hai chhat ka guman hamein
warna zamin ke sar pe koi aasman nahin

mujh mein na rang dhundiye 'ghaalib' ya 'mir' ka
milta kisi se bhi mera tarz-e-bayan nahin

kya lutf shaeri ka uthaenge bad-nasib
sikhi jinhon ne ai 'sada' urdu zaban nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close