aankhon ko hum aasman kahenge ashkon ko bhi kahkashan kahenge hasrat ko nigah kahenge phir hum nazzare ko imtihan kahenge dil ko bhi kahenge rahguzar hum aur dard ko karwan kahenge kis kis ko sunaenge tera gham kis kis se ye dastan kahenge is rah mein dil luta diya hai ab hum ye kahan kahan kahenge kuche mein jab aaoge hamare dil se tumhein mehman kahenge tanhai mein chaunk utthenge yak-dam aahat ko faqat guman kahenge aawaz pe kaun therta hai ruk jaenge hum jahan kahenge aasan kahan thi dastaras bhi koshish ko bhi raegan kahenge marzi hai tumhaari jo kaho tum hum zist ko bas fughan kahenge hangama-e-roz-o-shab ko yani be-intiha mehrban kahenge