aankhon mein ashk aur na labon par hansi rahi

aankhon mein ashk aur na labon par hansi rahi
duniya hamare haal ko chup dekhti rahi

barson hamare sath rawan zindagi rahi
aakhir ko ajnabi ki wahi ajnabi rahi

tujh ko jinhon ne sahab-e-mahfil bana diya
mahfil mein teri sirf unhin ki kami rahi

baithe to ek paikar-e-fitna bane rahe
utthe to aa ke sath qayamat khadi hui

ahl-e-junun to is se bhi aage nikal gae
manzil ke faslon ko khirad napti rahi

duniya ko thokaron mein rakha jis ne dosto
qadmon mein aise shakhs ke duniya padi rahi

khamosh hum bhi sunte rahe apni dastan
duniya baghair nam liye bolti rahi

jab se ghamon ki bhid mein hum kho gae 'nasib'
us roz se khushi bhi hamein dhundhti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close