aankhon mein KHwab taza hai dil mein naya KHayal bhi

aankhon mein khwab taza hai dil mein naya khayal bhi
aur jo mehrban rahe gardish-e-mah-o-sal bhi

milne ki ehtimam tak hum tere muntazir rahe
ab to nahin raha magar milne ka ehtimal bhi

waqt kahan ruka bhala par ye kise guman tha
umr ki zad mein aaega tujh sa pari-jamal bhi

us ne diye the phul jo ab use kya dikhaiye
rakhta nahin hai jabki dil khwahish-e-indimal bhi

khwab-e-jamal taza-tar aaya tha chor ki tarah
khurach ke dil se le gaya aap ke khad-o-khal bhi

lao to main hi tank dun tare ko aasman par
mere hi hath se agar hona hai ye kamal bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close