aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main ai khwab tera gham bhi nahin kar sakunga main ek mustaqil safar hai teri aarzu mujhe aur khud ko taza-dam bhi nahin kar sakunga main us ko khuda banane ki zid par ada hai tu ai dil jise sanam bhi nahin kar sakunga main sabza bhi chahti hain tasawwur ki khak par wo aankhen jin ko nam bhi nahin kar sakunga main ek jaan hai jo nazr guzari na jaegi ek sar hai jis ko kham bhi nahin kar sakunga main teri kami mein roz izafa karegi umr aur is kami ko kam bhi nahin kar sakunga main