aankhon se rawan kyon hai mera khun-e-jigar aaj shayad ki hua dil hadaf-e-tir-e-nazar aaj kya dil ki lagi hijr mein ashkon se bujhegi kya tera bharosa ho mujhe dida-e-tar aaj rah rah ke jo yaad aata hai ek bhulne wala tham tham ke kuchh uthta hai mera dard-e-jigar aaj afsos yahi hai ki kharidar hain mafqud har ashk ka qatra hai mera rashk-e-guhar aaj badhti hi chali jati hai saat hai jo us ki shayad ki na hogi shab-e-furqat ki sahar aaj wo subh se ghabrae hue phirte hain ghar mein dikhlati hai tasir meri aah-e-jigar aaj ya kal the kisi bazm mein hum zinat-e-mahfil ya misl bagule ke hue khak-basar aaj ek samt hain arman to ek samt tamanna is shan se hum jate hain allah ke ghar aaj pahlu se jo phir uth ke wo 'masud' gaya hai hai subh se phir haal mera nau-e-digar aaj