aankhon se yun charaghon mein dali hai raushni hum jaisi chahte the bana li hai raushni dariya ghurub hone chala tha ki aaj raat gharqab kashtiyon ne uchhaali hai raushni apni nashist chhod ke wan rakh diya charagh main ne zamin de ke bacha li hai raushni hathon ka imtihan liya sari sari raat sanche mein subh-o-sham ke dhaali hai raushni main ne kanar-e-sham guzari hai ek umr main jaanta hun dubne wali hai raushni kya rakh gir rahi hai nazar ki munder se khali diya hai aur khayali hai raushni is bar tere khwab mein rakkha hai apna khwab is bar raushni mein sambhaali hai raushni