aansu ban kar bahne laeq tariki yani tapki pine laeq tariki meri aankhon se tapke hai raat-o-din sab ke hosh udane laeq tariki gulshan ki khushbu mein kaise paoge andheron mein rahne laeq tariki aate hain aaseb mere dil ke andar hogi shayad un ke laeq tariki ek samundar ki tah mein rahti hai jo jal-pariyon ke rahne laeq tariki mere dil ke tukde kar ke banti hai sab ne apne apne laeq tariki meri aankhon mein hi shayad mil jae tariki ko apne laeq tariki khamoshi ke sath udasi chhai hai yani raat bitane laeq tariki dubne wala suraj chhod ke jata hai in taron ke jine laeq tariki ek jangal se le kar aaya hun ghar pe mere chhote kamre laeq tariki