aansu to koi aankh mein laya nahin hun main

aansu to koi aankh mein laya nahin hun main
jaisa magar laga tumhein waisa nahin hun main

ab mubtala-e-ishq zyaada nahin hun main
kahte ho tum yahi to phir achchha nahin hun main

khubi na ho koi magar itna to hai zarur
jhuti lage jo baat wo kahta nahin hun main

pani pe bante aks ki manind hun magar
aankhon mein koi bhar le to mitta nahin hun main

is tarah khud ko mujh pe numayan na kijiye
insan hun huzur farishta nahin hun main

raston ke kham wa pech mein aisa raha hun gharq
ab tak kisi maqam pe thahra nahin hun main

sauda hai mere sar mein to pairon mein bhi hai dam
chalta hun ek bar to rukta nahin hun main

mano meri bhi baat ki sab kuchh luta ke bhi
jita hun us ke ishq mein haara nahin hun main

sun lo 'hilal' aaj hi sunna hai jo ghazal
phir mujh se mat ye kahna sunata nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close