aansuon se dil ke in daghon ko dho leta hun main dard jab had se guzar jata hai ro leta hun main jab satati hai kisi ki yaad tanhai ke waqt aansuon ke haar palkon se piro leta hun main shiddat-e-ehsas-e-gham se jab bhi ghabraata hai dil aansuon mein apni aahon ko dubo leta hun main dard-e-ulfat dard-e-duniya aur ye nanha sa dil ek kuze mein samundar ko samo leta hun main wahshaten viraniyan jis dam satati hain mujhe yaad ke takiye pe sar rakh kar ke so leta hun main wahshat-e-dil ka ye aalam hai ki dushman ho ya dost jo bhi mil jata hai us ke sath ho leta hun main hae wo lamhe aziyyat-kosh 'hairat' kya kahun jab khamoshi mein zaban hote hain ro leta hun main