aao ki ab to jurat-e-jurm-e-suKHan karen

aao ki ab to jurat-e-jurm-e-sukhan karen
fikr-e-sukhan ko chhod ke fikr-e-chaman karen

daman gulon ke chaak hain kaliyan hain dil-figar
khamosh rah ke zulm ye kab tak sahan karen

parwaz par hai rok chahakna bhi hai gunah
kab tak qubul hum ye nizam-e-chaman karen

kafi nahin hai khidmat-e-lauh-o-qalam faqat
ab waqt hai ki khidmat-e-dar-o-rasan karen

auham ke andheron ko jad se ukhad kar
raushan charagh-e-haq se faza-e-watan karen

lashon ke dher par jo siyasat hain kar rahe
un qatilon se pak ye arz-e-watan karen

rishiyon ki sarzamin pe luteron ka raj hai
aazad aao wadi-e-gang-o-jaman karen

kab se lahuluhan hai wadi chinar ki
aabaad phir se aao wo rashk-e-‘adan karen

kab tak ladenge apne padosi se dosto
le de ke khatm kyon na fasad-e-kuhan karen

shaitan ko akele harana muhaal hai
mil kar chalo muqabla-e-ahraman karen

ahl-e-watan ko nind se bedar jo kare
ahl-e-sukhan bhi aaj numayan wo fan karen

mazlum ke bachaw mein ladna hi hai jihad
mauqa mile to hum bhi fida jaan-o-tan karen

jo hukm-name aur jo fatwe sunate hain
aao ki aaj band wo sare dahan karen

dekho na past hon kabhi yaro ye hausle
baqi hai bund khun ki jab tak jatan karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close