aap apna nishan nahin malum lut gae hum kahan nahin malum le chala hai junun-e-shauq kidhar hogi manzil kahan nahin malum daudta hun ghubar ke pichhe hai kahan karwan nahin malum jhuk gaya sar-basad khulus-o-niyaz kis ka hai aastan nahin malum ek halchal hai khana-e-dil mein kaun hai mehman nahin malum barq chamki thi ek bar yahan kya hua aashiyan nahin malum jaane kis ke khayal mein 'asi' ho gae gum kahan nahin malum