aap gardan hain haram mein hum harim-e-yar mein

aap gardan hain haram mein hum harim-e-yar mein
farq kya hai shaikh sahib momin-o-kuffar mein

shekh-o-pandit kya dikhaenge hamein rah-e-najat
ek asir-e-tauq-e-tasbih qaid ek zunnar mein

pak-bazi hai badi tauhin-e-rahmat shaikh ji
kijiye kuchh to khata gar hai yaqin ghaffar mein

chhin lena ya-khuda mujh se mere lauh-o-qalam
gar zawal aae mere ash'ar ke mear mein

tum ne to kabe mein bhi dekha nahin waiz use
hum ko aata hai nazar wo surat-e-dildar mein

chashm-did us ke hazaron aur gawah ek bhi nahin
samne sab ke hua tha qatl kal bazar mein

jurm pe qabu kiya hum ne nai tarkib se
ab buri khabren nahin chhaptin kisi akhbar mein

sar-phira koi bana hai nazim-e-gulshan 'sada'
hukm hai ek rang ke bas gul khilen gulzar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close