aap hi apna main dushman ho gaya tap gaya sona to kundan ho gaya aur nikhra subh-e-kazib ka suhag khatm jab taron ka indhan ho gaya kis se puchhun kho gai sita kahan ban ka har saya hi rawan ho gaya jab dar-o-diwar chamkae gae ghar ka ghar hi un ka darpan ho gaya bad-nasibi qafile ki dekhiye jo bana rahbar wo rahzan ho gaya wo nahin to un ka har lamha khayal har-nafas par ek uljhan ho gaya mangte phirte hain gul kharon se chhanw kya se kya dastur-e-gulshan ho gaya phir na bichhde is tarah se mil gae jaise do sayon ka bandhan ho gaya be-khayali mein yunhi phaila tha hath jab chhua tum ne to daman ho gaya jaane kyun gum ho gai barkha ki dhup rukh mera jab su-e-chilman ho gaya