aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi husn-e-ada hai nam usi ka hairan hai parwana bhi waqt ne aisi karwat badli phul khile basti ujdi wahshat ka wo zor badha aabaad hua virana bhi raat ki mahfil-arai ka pichhle pahar ahwal na puchh shama ki lau bhi sard padi thi rakh hua parwana bhi tanhai se ghabra kar hum kya kya shikwe karte the lekin jab se aap mile hain dost hua begana bhi dam ke dam mein duniya badli bhid chhati kohram utha chalte chalte sans ruki aur khatm hua afsana bhi main bhi sajda kar lun 'nami' lekin dil ko dhadkan hai kya ye wahi kaba to nahin jo kal tak tha but-khana bhi